Sunday, January 22, 2006

Kuch paanay ki aasha

har jaata hua din is baat ko puch raha hai, ki
aaj kya kia, aaj kya paya, aaj kya khoya.
khonay ke liye kya hai
paanay ke liye kya hai.
phir bhi bahot kuch paanay ki aasha rakhta hu

ek nazar jab peche palat kar dekhta hu
lagta hai kaha se niklay thay kaha pauch gaye
dishaheen to nahi hai hu, parantu,
sarvottam disha bhi to nahi hai
phir bhi bahot kuch paanay ki aasha rakhta hu....

aagay kay safar mei kuch shubh, kuch aachay pal ki abhilaasha karta hu
par in akanshao mei shayad khud ko hi na bhulaa baithu
kahi bhul na jaau, meray jeevan ka arth kya hai , mera astitva kya hai,
kyunki in sawalo ko jaanay ki khauish rakhta hu.
phir bhi bahot kuch paanay ki aasha rakhta hu....

apni seemao ko ladhnay ki shakti rakhta hu
un uchaiyoo se upar jaanay ki aasha rakhta hu,
jaha shayad hi koi gaya ho, lekin jayada sochta rahata hu
phir bhi bahot kuch paanay ki aasha rakhta hu....

Pata nahi jeevan ki is rah par kitnay log milay, aur aagay kitnay milengay
har shaks se milkar kuch sikhnay ki ichha rakhta hu
Utna akalmand to nahi ki sab jaan lu, saaray sawalo ka hal dhund lu
phir bhi bahot kuch paanay ki aasha rakhta hu....

Zindagi ka har pal shayad is hi tarah, na beet jaaye
Anth mei na kuch paa saku
aur bahot kho jaau, aisa sochta hu.
phir bhi bahot kuch paanay ki aasha rakhta hu....

Sunday, January 08, 2006

A trial on writing some shayari

khud ka hi ek aashiya bana baithay bheed se alag,
jaaha se door apna ek kaarwa bana baithay

baithay baithay yeh hi soch rahe thay ki
kaash is aashnay mei kuch phool hotay, kuch kaatay hotay

Ek khushi ki talaash mei, dosto ki talaash ki
Ek khushi ki talaash mei, apno se mulaqat ki

Ab khuda se ek aftab ki khauish kar baithay.