Friday, April 25, 2008

Samanya sa kuch... Something normal...

kabhi ladkhada kar to dekho
kabhi fisal kar to dekho...
kabhi chup kar haskay dekho...
ulti is duniya ko dekho..

suno us maddham si hasi ko
pehchano saath kay ehsaas ko
bhulo is baday say jahaa ko
saath chal kar to dekho..

chanchal vichar ki us bhavna ko socho
kalpana kay us jaha mei chalo,
gagan choonay ki us abhilasha ko samjho..
kabhi khud mei is chabi ko dekho...