Wednesday, February 28, 2007

Rah par nikalna hota hai zaroori

Arzoo muqamaal ho yeh zaroori nahi,
jeet kay ehsaas say bhi kaam chala lengay hum
Kamm say kamm kuch na karnay ka gamm to na hoga

taqdeer ko badalnay ka irada kaun nahi rakhta
irado par jo khara ho, usmay hai damm
sapno ko muqammal karnay ki us shuruvat
ka hona bas zaroori hai

Har aftab ko nisha milay yeh zaroori nahi
koshish ka maqam ho, yeh bhi zaroori nahi
to chalo nikal padtay hai, chalnay kay iraday say,
Kamm say kamm shuruvat na karnay ka gamm to na hoga..

na jaanay rah mei kaun milay, kitnay chutay
har shaks ki ahmiyat kamm to nahi
pata nahi phir mulaqat ho,
Kisi ko na pakar, rukhnay ka gamm to na hoga.

Saturday, February 10, 2007

Woh din.......

Milo humsay bhi kabhi ki woh khayal tazaa ho
Misaal ban chuka woh saal tazaa ho
din beetay thay, manoo khwab say badkar
Kuch bhi kar deenay ki woh hasrat tazaa ho

Intezaar chand palo ka, saal jab lagta tha
har subah kay woh lamhay, tazaa ho
Do dino tak ek hi khayal soch kar, ki kab mulaqat ho,
Woh subah ka intezaar phir tazaa ho

woh pehli nazar, woh pehli hasi,
woh pehli mulaqat phir tazaa ho
haatoo mei thamay haath
ki woh pehli baat phir taaza ho
aaya woh pehla khayal saath rahnay ka,
phir woh khayal tazaa ho.

Chalay thay woh pehle kadam saath saath,
Khabar nahi thi ki rukh kidhar hoga,
raah jo aap par gayee,
woh raah phir tazaa ho.

woh khil khila kar hasna, woh ghusaa,
woh kabhi bhi kuch pasand na karna,
woh na pasand, phir tazaa ho

woh pehla khana, woh pehli chai,
woh zaayada pani peenay ka competition,
baar baar kyu aati ho yaad
milo humsay phir, to saari bahar tazaa ho