Friday, August 11, 2006

Jeevan mei prem karna hai mujhe ...

**************************
door kisi samundar kinaray
hatoo mei haat leekar baithna hai mujhe
akash mei taaray dekhtay
bhavish ki kalpana karni hai mujhe
jeevan mei prem karna hai mujhe...

mere baahomei sir rakhkar
usko sootay dekhna hai mujhe
uskay shant chehray ki taraf dekhkar
khud hi khud mei hasna hai mujhe
jeevan mei prem karna hai mujhe...

ussay thodi thitholi karkay
usko ghusay say laal karna hai mujhe
uskay aasuoko pochtay pochtay jaldi se bahoo mei bhar leena hai mujhe
jeevan mei prem karna hai mujhe...

jeevanka uska laksh
uskay saath chadhna hai mujhe
cooti par pauchtay mere saath chalnay ki khushi
uski aakho se vyakt hotay dekhna hai mujhe
jeevan mei prem karna hai mujhe...

jab woh mujhsay door jaanay lagay
virah ki kalpana se avagat hona hai mujhe
woh na honay ka dard
aakho se vyakat karna hai mujhe
jeevan mei prem karna hai mujhe...

uskay saath mera jeevan
poorna roop se jeena hai mujhe
phir say janam uskay liye
uska chehra dekhkar hi jeena hai mujhe
jeevan mei prem karna hai mujhe...

No comments: